Gulaal movie – music and lyrics

Its been long since i’ve heard such contentful, meaningful, provoking and great lyrics with such gr8 musical representation.
The lines they’ve written are just mind-blowing. Music is awesome and vocals as well.
Now I’ve got very high-expectations from Gulaal.

The very first song I heard was – 

1) SHEHER by Piyush Mishra/Swanand Kirkire

he.. ek bakhat ki baat bataein, ek bakhat ki,
ja sheher hamaro so gayo tho rat gajab ki,

hai chahu aur sab aur disa se lali chahyi re,
jugni nache chunar oodhhe khoon nahayi re,

sab auro gullal put gayo sab auro me,
he.. sab auro gullal put gayo bipda chhayi re,

jis rat gagan se khun ki baris re,
jis rat shaher me khun ki baris re

sarabor bor ho gayo sheher wo, 
sarabor bor ho gayi dhaara,
sarabor bor ho gayo re jattha insano ka pada pada,
sabhi jagat ye puche thaa jab itna sab kuch horiyo tho,
wo shahar hamara kaay-baay sa aankh mund ke soyo thho,
o saheriyo bolyo nind gajab ki aisi aayi re…

jis rat gagan se khun ki baris aayi re,
jis rat shaher me khun ki baris re…

Sannata veeraana khamoshi anjaani
Zindagi leti hai karvatein toofaani
Ghirte hain saaye ghanere se
Rookhe baalon ko bikhere se
Badhte hain andhere pishaachon se
Kaapein hai jee unke naachon se
Kahin pe wo jooton ki khatkhat hai
Kahin pe alaavon ki chatpat hai
Kahin pe hai jhingoor ki aawaazein
Kahin pe wo nalke ki taptap hai
Kahin pe wo kaali si khidki hai
Kahin wo andheri si chimni hai
Kahin hilte pedon ka jattha hai
Kahin kuch munderon pe rakha hai

Sunsaan gali ke nukkad par jo koi kutta cheeckh cheekh kar rota hai
Jab lamp post ki gandli peeli ghupp roshni mein kuch kuch sa hota hai
Jab koi saaya khud ko thoda bacha bachakar ghum saayon mein khota hai
Jab pul ke khambo ko gaadi ka garam ujaala dheeme dheeme dhota hai

Tab sheher hamaara sota hai…

jab shehar hamara sota hai to malum tumko hann kya kya kya hota hai
idhar jagti hai lashe, jinda ho murda – udhar jindgi khota hai
idhar chhekhti hain ek halla khairati us asptal me ??? 
haath me uske agale hi pal, garam maans ka naram lothda hota hai…

idhar uthi hain takrarein jismon ke jhatpat len den mein unchi si
udhar ghaav se riste khoon ko door guzarati aankhe dekhen rookhi si
lekin usko leke rang birange mahalon mein gunjaish hoti hai
nashe mein doobe sehan se khoonkhaar chutkulon ki paidaaish hoti hai
adh-nange jismon ki dekho lipi puti si lagi numaaish hoti hai
laar tapakte chehron ko kuchh shaitaani karne ki khwaahish hoti hai

wo poochhen hain hairaan hoke aisa sab kuchh hota hai kab
ho batlao to unko aisa tab tab tab tab hota hai….
jab shehar hamara sota hai

— XX —

Secondly came the Yaara Maula song..
No one can predict what effect this song will leave after such a soothing start of the song Yaara Maula.



2) YAARA MAULA by Rahul Ram, Aushim, Piyush Mishra

haan haan Yaadon mein hai ab bhi
Kya sureela wo jahaan tha
Hamaare haathon mein rangeen gubbare they aur dil mein mehekta samaa tha

yaara o maula

Wo to khwabon ki thi duniya
Wo kitaabon ki thi duniya
Saans mein they machalte hue zalzale aankh mein wo suhaana nasha tha

yaara o maula [beats started effecting…]

Wo zameen thi aasmaan tha
Humko lekin kya pata tha
Hum khade they jahaan par usi ke kinaare par gehra sa andha kuaan tha 
[This line has got the impact – the most powerful line and hence supporting the aggresive muzik….here they go…]

Yaara…maula… 

Phir wo aayi bheed bankar
Haath mein they unke khanjar
Bole phenko ye kitaabein
Aur sambhalo ye salaakhein

Ye jo gehra sa dhooaan hai
Haan haan andha to nahi hai
Is kooein mein hai khazana
Kal ki duniya to yahin hain
Kood jao le ke khanjar
kaat daalo jo ho andar
Tum hi kal ke ho Shivaji…
Tum hi kal ke ho …SIKANDAR!

Humne wo hi kiya jo unhone ne kahaa
kyunki unki to khwahish yahi thi

Hum nahi jaante ki ye kyun ye kiya
kyun ki unki farmaaish yahi thi

Ab hamaare lagaa jaayka khoon ka
nahi hai koi jo hamein kuch bataaye
Bataao karein to karein kya?…..

— XX —

song ends with heavy questions and bass beats..nd i still felt like some more lines are there…btw do you have the answer??
well the third i loved is Aarambh Hai Prachand.. one more gr8 and provoking song, appropriate musik and great comparisons in the lyrics.

3) Aarambh hai prachand by Rahul Ram, 

Chorus
Aarambh hai prachand
Bolein mastakon ke jhund
Aaj jung ki ghadi ki tum guhaar do

Aan baan shaan
Ya ki jaan ka ho daan
Aaj ek dhanush ke baan pe utaar do

Man kare so pran de
Jo man kare so pran le
Wo wahi to ek sarv shaktimaan hai

Krishn ki pukaar hai ye
Bhaagwat ka saar hai
Ki yuddh hi to veer ka pramaan hai

Kaurawon ki bheed ho
Ya paandavon ka neer(d) ho
Jo lad sakaa hai wohi to mahaan hai

Jeet ki hawas nahi
Kisi pe koi vash nahi
Kya zindagi hai thokaron pe maar do

Maut ant hai nahi
To maut se bhi kyun darein
Ye jaake aasmaano mein dahaad do!

Wo dayaa ka bhaav yaki
Shaurya ka chunaav yaki
Haar ka wo ghaav tum ye soch lo

Yaki bhoore bhaal par
Jalaa rahe vijay ka laal
Laal ye GULAAL tum ye soch lo
Rang kesari ho ya mridang kesari ho
Ya ki kesari ho taal tum ye soch lo

Jis kavi ki kalpana mein
Zindagi ho prem geet
Us kavi ko aaj tum nakaar do

Bheegti maso mein aaj
Phoolti ragon mein aaj
Aag ki lapat ka tum bhaghaar do


— There are other songs which also are different for example the song “Ranaji” has got damn funny lyrics.. The song “Duniya” is again a good song.
I mean over-all the album is DIFFERENT.. Seems like I’m gonna hear it a lot 🙂

— Lets see what Gulaal – Movie gonna do!!!

Ask for other lyrics if u want.. Do comment here as well…

6 comments
    1. Beedo is “paan”. In the song. She’s saying “paan from another’s dish always is tasty” meaning a man (husband or boyfriend) of another women is always very attractive. She plays a mistress in a movie.

Leave a Reply to Kedar Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *